What Is Personal Finance In Hindi - Smart Way


Hello dosto kya aap jante hai ki Personal Finance Kya Hota Hai(What Is Personal Finance In Hindi). Or hamari life me iski kya jarurt hai. Yadi ham isko ham apni life me follow karte hai to hame iska kya benefit hai. In sab ke bare me ham baat karnge.



Personal Finance hamare life me ek bahut hi badi jarurt hai. Yadi ham isko apne life me use nhi karenge to hamare life me success hone ki bahut hi kum chance hai. Jo log personal finance me expert hai wo apni life me bahut successful hote hai. Jo iski ABCD bhi nhi janta wo apni life me money se related problem ka samna karna padta hai.

What Is Personal Finance In Hindi | Personal Finance Kya Hota Hai


Dosto aapne kayi baar dekha hoga ki jinke paas bahut sara pesa hota hai wo ek bam se poor ho jante hai or jinke paas starting me kuch nhi hota wo aage apni life me bahut rich ho jate hai. Or aesa isliye hota hai kyoki wo apni money ko sahi se manage karna nhi jante hai.

Wo ye nhi jante hai ki hame apni money ko kese use karna chahiye. Wo bas apni money ko bas spend karne ki lage rahte hai. Wo kabhi ye soch hi nhi pate ki wo apni money ko save kar ke usko invest kar sakte hai or pese se pesa bana sakte hai. Or isko hi Personal Finance kahte hai.

Apni money ko aap kese manage karte hai yahi Personal Finance hota hai. Aap ko ye aana chahiye ki aap kese apni money ko plan karke ek successful person ban sakte ho. Or ab jante hai ki personal finance ke ander kya kya aata hai.

Important Element Of Personal Finance


1: Prefect Monthly Budget – Dosto ye Personal Finance ke sabse first step hai. Ki aap ko apne monthly income or expenses ke liye ek prefect budget banana hoga. Aapko sabse pahle ye dekna hoga ki aapko monthly kinte ka expense karna hai or un money ko kaha kaha spend karna hai.

Or is budget me aapko har chij ke liye ek prefect budget banana hoga. Like – Aap ko ye fix karna hai ki aapko apne lifestyle per kitna spend karna hai, apne bachho ki study ke liye kitna spend kerna hai, or apne daily ek expense in sab ke liye aap ko ek fix money ka budget banana hoga.



 Budget banane ka benefit ye hoga ki aapko ye pata hoga ki aapki money kaha kaha spend ho rhi hai. Or yadi aap ko lagta hai ki is jagah per jayada expense ho rhe hai waha per aap usko kum kar sakte hai.

2: Money Saving – Dosto ye personal finance ka dusra or sabse bada step hai. Kya aapko pata hai ki sabse jayada common problem yahi hai. Ki log bahut sara pesa earn karte hai lekin wo apne peso ko save karna bhul jate hai. Wo apni sari money ko apni lifestyle me spend kar dete hai or save karna bhul jate hai jo ki ye aage jake ye unke liye ek bahut badi problem ban jati hai.

Aapko hamesha apni income ka kuch part save karna chahiye. Or ye work aapko jab hi karna hota hai jab aap monthly budget bante hai. Aapko budget se ye pata chal jata hai ki aapko kitne peso ki jarurt padegi. Or uske baad jo money bachti hai usko aap save kar sakte hai. Jo ki bahut hi jaruri hai.


3: Investment – Dosto jab aap money ko save kar lete hai to ab baat aati hai ki ham us save ki gayi money ka kya karna hota hai. Kyoki yadi ham un peso ko save kar ke rakhte hai to iska koyi benefit nhi hoga. Ham apni money ko ek better platform ko select karke waha per invest karna chahiye taki hame us ka kuch benefit mil paye.

Money ko invest karne ke liye aapke aap bahut sare option hote hai like – Mutual Fund, Share Market, Security Bond, Fix Deposit etc. In sab platform per aap apni money ko invest kar sakte hai. Jo ki aapke future ko safe karega.

Yadi aap in steps ko follow karte ho to aap ko future me kabhi bhi financial problems ko face nhi karne padega. Or ham aasha karte hai ki aap ye jan gaye hoge ki Personal Finance kya hota hai(What Is Personal Finance In Hindi). Dosto yadi aapko isse related or bhi knowledge chahiye to hame comment me jarur bataye.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ