Hello Dosto aaj ham baat karenge investing ke baare me. Aaj
ke time me har person apne future ke liye ek safe investing plan chahta hai. Or
isko lekar wo bahut pareshan rahta hai. Ki Apna Paisa Kaha Invest Kare taki wo
safe bhi rahe or better return bhi de. To aaj ham aapko top 6 platform batane
ja rahe jaha aap Paise Invest Kar sakte ho.
Or in me ham aapko isse related risk bhi batayge ki kisme
kitna risk hai. Uske hisab se aap apna paise invest kar sakte hai. Is post ke
baad aapko kabhi ye sochne ki jarurt nhi padegi ki apne paise kaha invest kare.
To chaliye jante hai konse hai wo best 6 platform jaha ham Apne Paise Invest Kar Sakte hai.
Apna Paisa Kaha Invest Kare | Top Investing Platform
1: Fixed Deposit
Dosto pahle baat karte hai FD ki jiska
naam Fixed Deposit hai. Ye apne paise ko invest karne ka sabse easy or sabse
safe tarika hai. Isme aap apne paiso ko kisi bhi bank me jakar ek fix time ke
liye deposit karwa sakte ho.
Or jab bhi aapko paiso ki jarurt pade to aap inko inkal wa
sakte ho. Isme bank aapko 7% - 10% tak ka interest pay karti hai. Joki aapke
saving account se jayada hota hai. Isme risk ka jo level hota hai or ek dam 0%
hota hai. Isliye aap isme Apna Paisa Invest Kar Sakte ho.
2: Gold
Dosto gold bhi ek achha investing option hai or
iske return bhi sahi hote hai lekin ye thoda risk wala investment hai. Kyoki
iske prize kabhi bhi kam ya jayada ho sakti hai. Or ye to huaa prize se related
factor lekin iske risk ka ek factor or bhi hai or wo hai jisse aapne gold ko
buy kiya hai.
Ho satka hai ko wo aapko fake gold dede. Iske alawa jab aap
gold ko ghar me le aate ho to uske rkhne ki pareshani ka samna karna pad sakta
hai. Isliye isme thoda sa risk hai. Vese aap isme invest to kar sakte hai lekin
isme aapko savdhani ki jarurt hai.
3: Real Estate
Ye ek sabse best investing plan mana jata
hai lekin isme invest karne ke liye aapke paas bahut jayada paise hone chahiye
tab hi aap isme apne paiso ko invest kar sakte ho.
Or ha isme risk ka jo level hota hai wo high hota hai. Ek
damse property ki prize bad bhi sakti hai or gir bhi sakti hai. Bs ye aapke area
ke govt. or kuch accidental conditions per depend karta hai. Or jesa ki mene
aapko kaha isme high risk hota hai to isme aapko high return bhi milta hai.
Lekin aap ek poor family se ho to aap isme invest nhi kar
sakte hai. Kyoki isme aapko jayada money ki jarurt hoti hai.
4: Government Bond
Kya aapko pata hai jab bhi govt. ko
paiso ki jarurt hoti hai to wo hamse kuch paise udhar leti hai. Or un paiso ko
lene ke liye wo bond issue karti hai. Or ham sarkar ko paise dekar wo bond buy
kar lete hai.
Or wo bond hamare paas security ke rup me hote hai. Ko kuch
time baad sarkar hame apne paise lota deti hai or us per hame wo interest pay
karti hai. Ye ek bahut hi achha or safe investment hai. Isme hame koyi risk nhi
hota or interest bhi achha khasa mil jata hai. To aap isme bhi apne paise
invest kar sakte hai.
5: Stock Market
Stock market ko to aap jante hi hai jise
ham Share Market ke naam se bhi jante hai. Ye ek asea platform hai jisne logo
ko rato raat Rich banaya hai. Or rato raat logo ko poor.
Isme aap kisi company ke share buy karke us company ke
shareholder ban jate ho. Or wo company aapko un share ki prize increase kar ke
deti hai. Jisko aap kisi or ko sell kar sakte ho. Or usse aap ek achha khasa return
earn kar sakte ho.
Lekin isme invest karne me bahut risk hota hai. Isliye yadi
aapko iska pura gyan nhi ho to aapko isko try nhi karna chahiye. Lekin aap isme
kisi expert ki help le satke hai. Lekin isme bhi hame bahut savdhani ke jarurt
hoti hai. Ye ek bahut hi risk wala platform hota hai.
6: Mutual Fund
Dosto jobhi investing start karna chahte
hai uske liye me ye best option recommend karuga. Kyoki ki ye ek asea
investment hai jisko aap 100Rs se bhi start kar sakte hai. Kyoki isse pahle
hamne aapko jitne bhi investing ke option bataye hai wo sbhi high investing
money per base hai..
Ye ek dam safe hai or easy bhi hai. Or iske liye aapko kisi
account ki bhi jarurt nhi hai. Isme aap mobile se bhi invest kar sakte hai. Aaj
kal market me bahut sari apps aagyi hai jiske madhyam se aap investing start
kar sakte ho.
Or isme aap apni risk ke anusar investing kar sakte hai.
Like high risk high return, Low risk low return etc.
To dosto aapko ye sochne ki jarurt nhi padegi ki Apna Paisa Kaha Invest Kare. Kyoki hamne aapko top 6 investing platform ke baare me bataya
hai. Jiski help se aap aaj se hi apni investing journey ko start kar sakte hai.
0 टिप्पणियाँ
Please do not enter any spam link in the comment box