Fastest Way To Learn Anything In Hindi - Smart Way


Fastest Way To Learn Anything | How To Learn Fast Anything

Hello Dosto hamari aaj ki life bhut fast ho gayi hai. Or ham bhi apni life me aage badne ke liye Fast ban na padega. Or yadi hame life me aage badna hai to hame apne andar kuch skill develop karna hoga. Or hamari life style bhi bahut fast ho gayi hai. Aaj ham aapko Fastest Way To Learn Anything ke liye 6 Tips batayege. Taki aap kisi bhi skill ko jald se jald learn kar sake. Aaj ki life me bahut hi jaruri hai. To aayiye jante hai kya hai wo 6 Tips jo aapki skill ko fast learning me help karegi.( How To Learn Fast Anything)

Fast Way To Learn Anything



1 : Start With Small – Dosto hamari sabse pahli or sabse badi mistake yahi hoti hai Ki ham kis bhi skill ko learn karne lagte hai to ham basic par dhayn nhi dete. Ji ha dosto ham starting me hi apni learning ko advance level per le jate hai. Ham hamesha kisi bhi chij ki starting small se hi karna chahiye. Hame basic starting me basic per sabse jayada dhayn dena chahiye. Kyoki yadi hamare basic strong hote hai to hame advance level per bilkul bhi problem nhi aati.

Or dosto ye baat only skill ko learn karne me hi nhi aati balki kisi habit ko apne andar develop karne me bhi aati hai. Ab jese aap maan lo ki aapko morning me jaldi uthna hai. Or aapke Uthne ka time vese to 8 baje ka hai. Or aapne morning me jaldi uthne ka goal 4 baje ka set kiya hai. To yakin maniye aap is goal ko kabhi achieve kar payege. Or maan lijiye ki aap kese uth bhi jate hai to bhi aap is routine ko jayada dino tak follow nhi kar paoge. Ab yaha aesa isliye hota hai kyoki hame jo ye goal set kiya hai wo starting me hi advance level per kiya hai. Aap ko ek dam se 4 baje uthne ki jagah aapko starting me 7 baje fir 6 baje fir 5 baje ka goal set karna chahiye tha.

2 : Find A Right Partner – Ab dosto hota kya hai ki kayi baar hame apni skill ko learn karne ke liye bahut si baar kisi ki help bhi leni hoti hai taki ham chijo ko or achhi tarike se samajh sake. To hame apni help ke liye ek Right Partner ko find karna hoga. Kyoki yadi aapne apne partner ko galat select kar liya to aap or bhi mushkil me pad sakte hai. Aapka partner positive thinking ka hona chahiye or apne goal per focus rakhne wala hona chahiye.(Fastest Way To Learn Anything)

Fastest Way To Learn Anything | How To Learn Fast Anything
Learn Anything


3 : Freedom – Dosto jab bhi ham koyi new skill ko learn karne lagte hai to starting me ham dar jate hai. Ki ye mujhse hoga ya nhi. Ab maan lijiye ki hame mobile chlana nhi aata to ham starting me darne lag jayege ki kahi wo khrab ho gaya to koyi ulta sidha button dab gaya to or pata nhi kya kya sochne lag jate hai . Or us dar ke karan ham usko use karna band kar dete hai. To hame apni is habit ko change karna hoga hame darne ki jagah uska samna karna sikhna hoga. Hame ek dam freedom hona hoga.(How To Learn Fast Anything)

4 : Work On Your Weakness – Ab ye rule hame batata hai ki hame apni weakness per work karna chahiye. Bahut se log public specking se darte hai or isliye wo public me jana bhi pasand nhi karte. Kyoki wo darte hai ki unke muh se kuch ulta sidha nikal gaya to log unka majak udayege. Isliye aap un work per bhi focus karna chahiye jisse aapko sabse jayada dar lagta hai. Kyo ki jab aap aesa karne lagte hai to aap apni weakness ko apni stranth me change kar sakte hai. Or fir aapko usse dar nhi lagega.

5 : Analyze Your Failure – Or ab baat aati hai Failure ki. Jab bhi dosto hai kisi work me ya field me failure ka samna karte hai. To ham us failure ko lekar ajib ajib tarike ke bahane banane lagete hai. Ki ye uski wajah se huaa hai, Meri to kismat hi kharab hai or na jane kya kya bolte hai lekin ham apni mistakes ko kabhi nhi dekhte. To bas dosto aapko yaha yahi karna hai aapko apne failure hone ke karan ko analzy karna hai or dekhna hai ki aap ne kon si mistake kar di jiske karan aapko failure ka samna karna pad raha hai.

Conclusion-Dosto ye sari tips ek dam working hai bas aapko in tips ko follow karna ho ga. Yadi aap in tips ko follow karte hai to yakin maniye ki aap kisi hi skill ko aap aasani se learn kar sakte hai.(Fastest Way To Learn Anything)


Appko yadi hamari post achhi lagi to comment me jarur bataye Or aap hame INSTAGARM  pr follow bhi kar sakte hai.

Thanks For Reading

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ