Exam Ke Liye Time Table Kese Banaye In Hindi - Smart Way


Exam Ke Liye Time Table Kese Banaye | How To Make Time Table

Hello Dosto kya aap nhi bahut pareshan hai ki Exam paas me aagye hai or aapne abhi tak shi se teyari nhi ki to aaj ham aapko batayege ki appko Exam Ke Liye Ek Effctive Time Table Kese Banana hai. Kyo ki jayadatar student yahi mistake karte hai. Wo apni study ke liye time ko manaze nhi kar pate or fir aage jakar parshani ka samna karna padta hai. Exam Ke Liye Time Table Kese Banaye | How To Make Time Table

Exam Ke Liye Time Table Kese Banaye | How To Make Time Table
Time Table For Exam


Dosto yadi aapko apni study ko or jayada effective banana hai to aapko time management aana hi chahiye. Ab yaha student mistake ye karte hai ki we pure saal to study nhi karte hai Or jese hi exam aane lagte hai to we ek dam se study ko start karte hai or wo bhi bina kisi time table ke. Dosto Exam ke time per bhut presher hota hai. To ham ek saath sare subject ko study karne me lag jate hai taki hamara syllabus complete ho sake. Or ham bhi Time Table ke hi study ko start kar dete hai or jo man ne kaha wo hi subject utha kar study karna start karne lag jate hai. To aapko yaha sabse pahle yaha ye janna hoga ki hame Time Table kyo banate hai.

Time Table Kyo Banate Hai

Dosto ham time table isliye banate hai taki ham study se related goals per ek najar rakh sake. Yani aap jis way se aap study kar rhe ho wo aapko aapke goal tak pahuchye ga bhi ya nhi. Time Table me ham apne study goal ko is tarike se set karte hai ki hame ye pata hota hai ki hame konse subject ko kitne time me ek dam accuracy ke sath pura kar payege.


Exam Ke Liye Time Table Kese Banaye | How To Make Time Table
How To Make Time Table


Or ham Time Table me study se related goal ko achieve karne ke liye step by step way ko define karte hai. Taki hame exam ke time per apne syllabus ko aasani se complete kar sake. Or yadi hamere pass time table nhi hoga to hame pata hi nhi chal payega ki hame kis time per konsa action lena chahiye. Isliye Time Table to hona bahut hi jaruri hai. Lekin hame Time Table banane se phle kuch baato ka dhyan rahna bahut jaruri hai. To aayiye jante hai kya hai wo baate. Exam Ke Liye Time Table Kese Banaye | How To Make Time Table.

Time Table Banate Samay In Baato Ka Dhayn Jarur Rakhe

1 : Select Your Target-Time table banane se phle aapko apne Study Goal ko set karna hoga. Matlb aapko sabse phle apne time or syllabus ke beech me combination banana hoga. Aapko apne samne ek target rakhna hai jo aap exam me achieve karna chahte hai Jese man lijiye ki is saal aap 90% achieve karna chahte hai. Or ab aap yaha ye goal achieve karna chahte hai to aapke mind me hona chahiye ki aapko kitni jaldi syllabus khatam karna hoga or aapko kini baar revsion required hai jese mana lijiye ki aapko 2 baar syllabus or 3 baar revision required hai is goal ko achieve karne ke liye.

Or aese hi aap ko calculate karna hoga ki aapko is syllabus ko khatm karne ki liye aapko ek din me kitna padna hoga, Ek week me kitna padna hoga, Ek mahine me kitan padna hoga. Jab jakar hi aap ek powerful Time Table bana paoge.

2 : Sleeping- Dosto kya aapko pata hai Sleeping ka bhi hamari study me bhut bada roll. Kyoki jab ham proper tarike se apni nind lege hai to hamara mind study ke liye dobara charge ho jata hai. Isliye apne time table me aap Sleeping se related Time ko bhi include kare.

3 : Stress Remover Time – Dosto aapko apne time table me koyi aesi activity ko add karna hoga jo aapke stress ko kum kare. Matlb ye hai ki jab bhi aap study karte hai to aapke mind me stress aajata hai. Or is stress ko khatm karne ke liye aapko iski activity ka sahara lena chahiye. Bahut se log Social Media ka sahara lete hai. Lekin ye aapko limit me rahkar karna chahiye. Lekin hamari tarf se ye salah hai ki aap apne stress ko kum karne ke liye koyi physical game khele. Aapko apne Time Table me ye time jarur add karna hoga.

4 : Slot Of Time – Dosto aapko kabhi bhi apna Time Table aesa nhi banana chahiye ki hame 1 hr English padna hai, 1 hr hindi padna hai, 1 hr math padna hai. Balki aapko apne syllabus ke hisab se step by step chalna hai. Aapko chapter ko study karte huye chalna hai. Jese aap English ka chapter complete karna hai. Kal Hind ka chapter complete karna hai.
Exam Ke Liye Time Table Kese Banaye | How To Make Time Table

Or ab Dosto last me ek Tip Meri tarf se

Dosto aapko ek din me do kum ya jayada Subject ko study nhi karna chahiye. Kyoki yadi aap ek din me ek hi subject ko study karte ho to aap ek hi subject ko pad kar bor ho jaoge. Or yadi aap ek din me 2 se jayada subject ko study karte ho to aapka mind puzzled ho jayega.

Appko yadi hamari post achhi lagi to comment me jarur bataye Or aap hame INSTAGARM pr follow bhi kar sakte hai.

Thanks For Reading

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ